Saturday, February 28, 2009

Us per iska Aser to kia ho ga

Us per iska Aser to kia ho ga
Dekh ker aur khush huwa ho ga

Kaisay is baat ka yaqeen aye
To bhi is khak se bana ho ga

jo bhi milta hai pooch laita hoon
Soachta hoon use pata ho ga

Sirf hum jaan se hi jaien gay
tere jannay se aur kia ho ga

Rastay main kahien kharda ho ga
Phir halaoon main tuk raha ho ga

reh-guzaroon main Aaj bhi Tanha
Koi Deewana ghoomta ho ga

her ghardi na jannay kion aas pass rehtay ho

her ghardi na jannay kion aas pass rehtay ho
Tum ajeeb mousam ho bas udass rehtay ho

kuch bharam to rakhna hai apnay dil ki dhardkan ka
tum mairay nahien per mairay pass rehtay ho

main to ik lardki hoon Qaid main muhabbat ki
tum ko kia huwa sahib kion niras rehtay ho

ik din bicharna hai janty hoon main lekin
tum abhi se hi kion akhir badhawas rehtay ho

kia koi naye lardki aa gaye hai duffter main
Aaj kal zaida hi khush libas rehtay ho

hosla nahien mujh ko tum ko yeah batanay ka
jheel jaisay nainan main masl-e-payas rehtay ho