Saturday, March 28, 2009

Pather ki zuban ki shayra ne

Pather ki zuban ki shayra ne
ik mahfal-e-shair-o-shayri main

jab nazam sunatay mujh ko dekha
kuch soach ke dil main muskuraye

jab maiz per hum millay to us ne
bhard ker mairay hath aisay thamay

jaisay mujhe khojti ho kab se
phir mujh se kaha ke aaj, Parveen

jab shair sunatay tum ko dekha
main khud ko buhat hi yaad aye

Wo waqat ke jab tumhari surat
main bhi yoon hi shair keh rahi thi

Saturday, March 21, 2009

Jatay waloon se rabta rakhna

Jatay waloon se rabta rakhna
Dosto rasam-e-fateha rakhna

masjadien hain namazioon ke liye
Apnay ghar main kahien khuda rakhna

Saturday, March 14, 2009

Ik Shaire

sir durd jaisay neend ke seenay main kho gaya
un phool jaisay hathoon ne matha joon hi chuwa

Saturday, March 7, 2009

Hum bhi na dekhaien gay ser-e-rah giraiban

Hum bhi na dekhaien gay ser-e-rah giraiban
Tum bhi mairay wadoon ko ser-e-Aam na kerna

is shart pe hai taraq-e-taluq ki ijazat
badnaam zamnay main maira naam na kerna

badnaam na kerna hamien is shaer-e-wafa main
mashoor kahien payar ka pegham na kerna

yadoon ka nasha hosh urda deta hai muneer
Saqi se kaho samnay ab jaam na kerna

Saturday, February 28, 2009

Us per iska Aser to kia ho ga

Us per iska Aser to kia ho ga
Dekh ker aur khush huwa ho ga

Kaisay is baat ka yaqeen aye
To bhi is khak se bana ho ga

jo bhi milta hai pooch laita hoon
Soachta hoon use pata ho ga

Sirf hum jaan se hi jaien gay
tere jannay se aur kia ho ga

Rastay main kahien kharda ho ga
Phir halaoon main tuk raha ho ga

reh-guzaroon main Aaj bhi Tanha
Koi Deewana ghoomta ho ga

her ghardi na jannay kion aas pass rehtay ho

her ghardi na jannay kion aas pass rehtay ho
Tum ajeeb mousam ho bas udass rehtay ho

kuch bharam to rakhna hai apnay dil ki dhardkan ka
tum mairay nahien per mairay pass rehtay ho

main to ik lardki hoon Qaid main muhabbat ki
tum ko kia huwa sahib kion niras rehtay ho

ik din bicharna hai janty hoon main lekin
tum abhi se hi kion akhir badhawas rehtay ho

kia koi naye lardki aa gaye hai duffter main
Aaj kal zaida hi khush libas rehtay ho

hosla nahien mujh ko tum ko yeah batanay ka
jheel jaisay nainan main masl-e-payas rehtay ho