Friday, December 26, 2008

Chahat

Us ko bhi wasl-e-yaar ki chahat nahi rahi
hum nien bhi intazar ke deepak jala diye

Aya kabhi khayal to ankhien chalak parien
Ansoo kisi ki yaad main kitnay baha diye

Hawa ki Dor pe chul ker kabhi ata tha jo milnay
usi nien kehkashan ki rah main pehray betha diye

khanak uthti thi jiski rooh jin batoon ki masti se
unhien masoom lafzoon se kaye nuqtay utha diye

muhabbat main mairay dil ko Faraib-e-arzoo de ker
ulfat ke mayni Aaj kal Furqat bata diye

betabiye dil kehnay gay to jawab main
hijer-o-faraq ke kaye qisay suna diye

Dil to Fagar tha hi nai baat kia hai neel
Do char zakham aur jo us nien laga diye



____________________________________

Wednesday, November 26, 2008

Ik Shaire

Sada ban ker, Ghata ban ker, Fiza ban ker, Saba ban ker
na janne kab main Aa jaoon Dareecha khol ke rakhna

Sunday, October 26, 2008

Kash Aye Kash

Kash Aye Kash
Mairy Khamosh muhabbat main jana
Kuch itny to gehraye hoti
To samjh laity
mairay dil ki sadaoon ko jana
To bharay sheher main
Yoon Aaj na ruswaye hoty
Main to bas itna samjhta hoon
Ae mairy hum dum
to jo milty to na yoon duniya parye hoti

Friday, September 26, 2008

Wo Maira nahi hai

Hai ikhtayar main tere to yeah moujza ker de
wo shakash maira nahi hai use maira ker de

yeah regazar khatam hi nahien hota
Zara Si door to rasta hara bhara ker de

main uske zor ko dekhoon wo maira Saber-o-sakoon
mujhe chiragh bana de use hawa ker de

Akeeli sham buhat hi udass kerti hai
kisi ko bhejh koi maira humnawa ker de

Tuesday, August 26, 2008

Umeedoon ka khoon

Wo khoon ker ke umeedoon ka muskuratay hain
yeah log sheher ke kion mujh ko Azmatay hain

Dara rahay hain yeah mujh ko Qabroon ke saye
yeah zakham kaisay hain mujh ko sada rulatay hain

main jab hansoon mairy palkien bhi bheeg jatien hain
yeah mairay lub mairy ahien buhat chupatay hain

kabhi tha surkh gulaboon ka mousam angan main
yeah zard patay teri yaad ab dilatay hain

ana ke but main sisakti hai hasrtoon ki lash
yeah teray waday to pagal mujhe banatay hain

jala ke raakh kerien gay chaman ko ae khanam
jo log Aag ko chingarien dekhatay hain

Saturday, July 26, 2008

Tum se bicher ker

tum se bicher ker hum bhi muqader ke ho gaye
phir jo bhi Dur mila hai usi dur ke ho gaye

Monday, June 23, 2008

Chalay Jaooo

Humien Mehsoos Hota Hai
Yeahi"Ehsas"honay Ki Alamat Hai
Humari Zindagani Ki Alamat Hai
Tumhien hiran Honay Ki Zaroorat Kiya?
Chalay Jao...
Tumhien Kiya Wasta Is Se
ke Hum tanhiyoon Main Kis Tarah Reh Ker
Guzer Auqat Kertay Hain
Tumhain Ho Kion Gharez Is Se
ke Jeetay Hain ke Mertay Hain
Chalay Jao...
Humaray Zakhim Bharnay ke Nahi Hain In Dilasoon Se
Koi Dekhay To Kion Dekhay
ke Kaisay Saber Aata Hai Humien Tareek Raaton Main
Koi Dekhay To Kion Dekhay
ke Kaisay Mehav Rehtay Hain Hum Apnay Sath Batoon Main
Chalay Jao...
Humien Mehsoos Kernay Do
Humaray Zakhim Bharnay Do
Mairay Humzaad Aao To...Bhuja Do Roshniyan Sari
Ghubaar Is Dil Ka Niklay Ga
Buhat Tareek Kamray Main
Mujhe Ab Hichkiyaan Laitay
Koi bhi Dekh Paye Kion
Mairay Anjaam Pe Aakhir
"wo Chehra" Muskuraye Kion
Chalay Jao...
Humien To Is Samay Ghar ke
Dar-o-Deewar bhi Acchay Nahi Lagtay
Chalay Jao...
Chalay Jao...!!!

Friday, May 23, 2008

Durd Kum kion nahi hota

Ansoon Kion Nahi Ruktay Mairay
Durd Kion Nahi Kum Hota Maira
Ansoon Ki Barish Main Kion Doobi Rehti Hoon
Tanhai Main Kion Roti Rehti Hoon
Na Jeeti Hoon Na Merti Hoon
Us Ki Yaadoon Main Roti Rehti Hoon
Pata Hai Wo Kabhi Nahi Milay Ga Mujhay
Phir Bhi Us Ka intazar Rehta Hai Mujhay
Use Bhool Ker Kisi aur Ko Apna Banana Chahti Hoon
Per Koi Mujh Jaisi Badnaseeb Ko Apnana Nahi Chahta Hai
Her Koi Kehta Hai Main Tairay Sath Tairi Her Mushkil Main Sath Doon Ga
Waqat Anay Per Her Koi Mooh Morde Kion Leta Hai
Jub Mujhay Kisi Ke Sath Ki Zaroorat Hoti Hai
To Mujhe Koi Sath Kion Nahi Deta Hai
Ansoon Ki Barish Main Chorde Ker Kion Chala Jata Hai
Jis Per Yaqeen Kerti Hoon Wohi Kion Deta Hai Dhokha
Jisay Apna Kehti Hoon Wo Mujhay Apna Kion Nahi Samjhta Her Koi Ata Hai
ik Naya Ghum De Ker Kion Chala Jata Hai Mujhay
Ansoon Kion Nahi Ruktay Mairay
Durd Kion kum nahi hota

Wednesday, April 23, 2008

Gaye Waqat ko Ro Ke Dekh lo

Gaye Waqat Ko Ro Ke Dekh Lo
Is Main Zara SakoOn Le ke Dekh Lo

Tum To Kehtay Thay Ke Sab Asaan Ho Jaye Ga
Yahaan Ab Na Mumkin Ko Mumkim Bana Ke Dakh Lo

Tum Is Per Ranjeeda Na Huwa Kero
Bus Maira Naam Aik Baar Le Ke Dekh Lo

Ab To Yaqeen , Yaqeen Per Bhi Nahi
Mujhe Apna Sahara Bana Ke Dekh Lo

Main To Tumhien Ro Ro Yaad Kerta Tha
Mairay ander Ansoon ka Durya to Dekh Lo

Sunday, March 23, 2008

Izhaar-e-Wafa

Ankhoon se hi Lafzoon ko Ada ker diya Us nein
Chup reh ker bhi Izhaar-e-Wafa ker diya Us nein

Haseen Biyan ka matlab jana hai Main nein Aaj
Bin Junbish-Lub hud Biyan ker diya Us nein

Chunchal C Muskurahtien Ankhoon main Shokh-Pun
Apna mujhay Aseer-e-Ada ker diya Us nein

Maira Dil jo kabhi Misel-Dhoop se Mushoor tha
Lumhoon main Saawan ki Hawa ker diya Us nein

Lakhoon thay uski Surat-o-Seerat ke paristaar
ik Mairay siwa sab ko Fana ker diya Us nein

Saturday, February 23, 2008

Bhula Dijye Mujhe

Mumkin Ho Aap Se To Bhula Dijye Mujhe
Pather Pe Hoon Lakeer, Mita Dijye Mujhe

Her Roz Mujh Se Taza Shikayat Hai Aap Ko
Main Kiya Hoon, Aik Baar Bata Dijye Mujhe

Mairay Siwa Bhi Hai Koi Mozoo-E-Guftagoo
Apna Bhi Koi Rung Dikha Dijye Mujhe

Ki Main Nien Apnay Zakhim Ki Tush-heer Ja Baja
Main Manti Hoon Juram, Saza Dijye Mujhe

Qaiyam To Ho Sakay Koi Rishta Goher Ke Sath
Gehray Sumandaroon Main Baha Dijye Mujhe

Shab Bhar Kiren Kiren Ko Tarasnay Se Faida
Hai Tairgi To Aag Laga Dijye Mujhe

Jaltay Dinon Main Khud Pass-E-Deewar Baith Ker
Saye Ki Justuju Main Laga Dijye Mujhe

Yoon To Shola-E-Jaan Surd Ho Chuka
Lekin Sulag Uthoon To Hawa Dijye Mujhe

Wednesday, January 23, 2008

Na dushmani acchi lagi na dosti acchi lagi

Na dushmani acchi lagi na dosti acchi lagi,
Hum ko to us shakhs ki berukhi acchi lagi

Log the is sheher ke saray hi khush mizaaj,
Dil ko lekin ik tairy sunjeedgi acchi lagi

Main nien apnay rab say phir manga usi ko umer bhar,
Jis ki ankho ki mujhay durya dili acchi lagi

Bus ana pe naaz tha jis ko na shub bhar so saka,
Lumha lumha uski berhti be-basi acchi lagi

chain ik pal main hi us ke becher janay ke baad,
Mujh ko apnay hijer ki ik ik ghari acchi lagi

Mairay daaman main raha kuch bhi nahi mager,
Wo rahay khush yeah soch ker zindagi acchi lagi.